Posts

Showing posts from February, 2019

Hadaiq e bakhshish

Image
Read               Download

na asman ko yun sarkusheeda hona tha

na asman ko yun sarkusheeda hona tha huzoor e khak e madina khamida hona tha agar gulon ko khazan naarseeda hona tha kinar e khar e madina dameeda hona tha huzoor un ke khilaf e adab thi betabi meri umeed ! tujhe aarmeeda hona tha nazara khak  e madina ka aur teri aankh na isqadar bhi qamar shokh deeda hona tha raza jo dil ko bana na tha jalwa gah e habib to pyare qaid khudi se raheeda hona tha ...

Lam Ya’Ati Naziro Kafi Nazrin

Lam Ya’Ati Naziro Kafi Nazrin, Misle To Na Shud Paida Jaana. Jag Raaj Ko Taaj Torey Sar So, Hai Tujh Ko Shahey Do Sara Jaana. Ana Fi Atshiv Wa Sakha Ka Atam, Aey Gesu-Aey Paak, Aey Abr e Karam, Barsan Haare Rimjhim, Rimjhim, Do Boond Idhar Bhi Gira Jaana. Al Bahro Alaa wal Mavjo Tagha, Man Bekaso Tufaan Hosh Ruba, Manjdhaar Mein Houn Ya Rasulallah, Manjdhaar Mein Houn Bigri Hai Hawaa, Mori Nayya Paar Laga Jaana. Ar Rooho Fida Ka Fazid Harka, Yak Shola Digar Barzan Ishqa, Mora Tan, Man, Dhan, Sab Phoonk Diya, Yeh Jaan Bhi Pyaare Jala Jaana. Al Qalbo Shyjivm Wal Hamo Shujut, Dil Dar Chuna Jaan Zer Chuno, Pat Apni Bhi Pat Mein Kaaisay Kahoun, Mera Koun Hai Teray Siva Jaana. Bas Khaama-Aey Khaam Nawaaey Raza, Na Yeh Taraz Meri Na Yeh Rang Mera, Irshaade Ahibba Na’Atik Tha, Nachaar Is Raah Para Jaana.

lutf un ka aam ho hi jaye ga

lutf un ka aam ho hi jaye ga shad har nakam ho hi jaye ga jan de do wada e deedar par naqd apna daam ho hi jaye ga shad hai firdous yaani ek din qismat khuddam ho hi jaye ga saailo ! daaman  sakhi ka tham lo kuch na kuch inaam ho hi jaye ga mufliso ! un ki gali main ja paro baag e khuld ikram ho hi jaye ga gar yun hi rahmat ki taweelein rahin madh har ilzaam ho hi jaye ga ghum to un ko bhool kar lipta hai yun jese apna kaam ho hi jaye ga ab to layi hai shafa`at  afw par badhte badhte aam ho hi jaye ga ae raza har kaam ka ik waqt hai dil ko bhi aaram ho hi jaye ga....

muhammad mazhar e kamil hai haq ki shan e izzat ka

muhammad mazhar e kamil hai haq ki shan e izzat ka nazar aata hai is kasrat main kuch andaz wahdat ka yahi hai asl e aalam maadda eejad e khalqat ka yahan wahdat main barpa hai ajab hungama kasrat ka gada bhi muntazir hai khuld main nekon ki dawat ka khuda din khair se laye sakhi ke ghar zyafat ka na rakhi gul ke josh e husn ne gulshan main ja baqi  chatakta phir kahan guncha koi baag e risalat ka barhaya ye silsila rahmat ka daur e zulf e waala main tasalsul kale koson rah gaya isyan ki zulmat ka raza e khasta ! josh e bahr e isyan se na ghabrana kabhi to hath aa jaye ga daman un ki rahmat ka...

ghum ho gaye beshumar aaqa

ghum ho gaye beshumar aaqa banda tere nisar aaqa bigra jata hai khel mera aaqa aaqa saanwaar aaqa manjhdar pe aake nao tooti de hath ke hun main paar aaqa tooti jati hai peeth meri lillah ye bojh utar aaqa halka hai agar humara palla bhari hai tera waqar aaqa majboor hain hum to fiker kya hai tum ko to hai  ikhtiar aaqa mein door hoon tum to ho mere paas sun lo meri pukaar aaqa mujhsa koi ghumzada na hoga tum sa nahin ghum gusaar aaqa tum wo k karam ko naaz tum par mein wo k badi ko aar aaqa jis ki marzi khuda na taale mera hai wo naamdar aaqa hai mulk e khuda p jis ka qabza mera hai wo kaamgaar aaqa un ke adna gada pe mit jayen ese ese hazar aaqa itni rahmat raza pe karlo laa yaqrubuhul bawaar aaqa...

hum khak hain aur khak hi mava hai humara

hum khak hain aur khak hi mava hai humara khaki to wo aadam jad e aala hai humara allah humein khak kare apni talab main ye khal to sarkar te tamga hai humara jis khak pe  rakhte the qadam sayed e aalam us khak pe qurban dil e shaida hai humara khum ho gayi pushte falak is taan e zameen se sun hum pe madina hai wo rutba hai humara is ne laqab e khak shehnshah se paya jo hayder e karrar k maula hai humara hai khak se tameer mazar e shahe konain mamoor isi khak se qibla hai humara hum khak urayen ge jo wo khak na payi aabad raza jis pe madina hai humara ...

tu hai wo ghouse k har ghouse hai shaida tera

tu hai wo ghouse k har ghouse hai shaida tera  tu hai wo gais k har gais hai p[yasa tera suraj aglon ke chamakte the chamak kar doobe ufuq e noor pe hai mahr humesha tera murg sab bolte hain bol[ k chup[ rehte hain haan aseel ek nawa sanj rahe ga tera jo wali qabl the ya baad hue ya hon ge sab adab rakhte hain dil se mere aaqa tera aur parwane hain jo haote hain kaabe p[e nisar shama ik tu hai k p[arwana hai kaaba tera raj kis shahr main karte nahin tere khudam baj kis nahr se leta nahin darya tera aur mehboob hain , haan par sabhi yaksaan to nahin yun to mehboob hai har chahne wala tera gardanein jhuk gaen sar bichh gaye dil toot gaye kashf e ssaq aj kahan ye to qadam tha tera dil e a`ada ko raza tez namak ki  dhun hai ik  zarra aur chhirakta rahe khama tera....

Wah kya martaba ae ghouse hai baala tera

wah kya martaba ae ghouse hai baala tera oonche oonchon ke saron se qadam aala tera sar bhala koi kya jane ke hai kesa tera aulia malte hain aankhein wo hai talwa tera kya dabe jis pe himayat ka ho panja tera sher ko khatre main laata nahin kutta tera tu hussaini hasani kyun na muhyudin ho ae khizar majma e bahrain hai chashma tera qasmain de de ke khilta hai pilata hai tujhe pyara allah tera chahne wala tera mustapha ke tan e be saya ka saya dekha jis ne dekha meri jan jalwa e zaiba tera ibne zahra ko mubarak ho uroose qudrat qadri payen tasaduq mere dulha tera] kyun na qasim ho k tu ibne abil qasim hai kyun na qadir ho k mukhtar hai baba tera jan to jate hi jaye gi qayamat ye hai k yahan marne pe thehra hai nazara tera tujh se dar dar se sag aur sag se hai mujhko nisbat meri gardan main bhi hai door ka dora tera is nishani k jo sag hain nahin mare jate hashr tak mere gale main rahe patta tera meri qismat ki qasam khayen sagan e baghdad hind main bhi ...

Wah kya jood o karam hai shah e bat`ha tera

Wah kya jood o karam hai shah e bat`ha tera nahin sunta hi nahin mangne wala tera dhare chalte hain ata ka wo hai qatra tera tare khilte hain sakha ke wo hai zarra tera faiz hai ya shahe tasneem nirala tera aap pyason ke tajasus main hai darya tera agnia palte hain dar se wo hai baara tera asfia chalte hain sar se wo hai rasta tera farsh wale teri shokat ka uloo kya janein khusrawa arsh pe udta hai pharera tera asman khuwan zameen khuwan zamana mehman sahib e khana laqab kiska  hai tera tera mein to malik hi kahoon ga ke ho malik ke habib yani mehboob o muhib main nahin mera tera tere qadmon main jo hian gair ka mun kya dekhein kon nazron pe charhe dekh ke talwa tera chor hakim se chhupa karte hain ya is ke khilaf tere daman main chhupe chor anokha tera ek mein kya mere isyan ki haqiqat kitni mujhse so lakh ko kafihai ishara tera muft paala tha kabhi kaam ki aadat na padi ab amal poochte hain haye nikamma tera tere tukron pe pale gairkithokarpenadaa...