lutf un ka aam ho hi jaye ga
lutf un ka aam ho hi jaye ga shad har nakam ho hi jaye ga jan de do wada e deedar par naqd apna daam ho hi jaye ga shad hai firdous yaani ek din qismat khuddam ho hi jaye ga saailo ! daaman sakhi ka tham lo kuch na kuch inaam ho hi jaye ga mufliso ! un ki gali main ja paro baag e khuld ikram ho hi jaye ga gar yun hi rahmat ki taweelein rahin madh har ilzaam ho hi jaye ga ghum to un ko bhool kar lipta hai yun jese apna kaam ho hi jaye ga ab to layi hai shafa`at afw par badhte badhte aam ho hi jaye ga ae raza har kaam ka ik waqt hai dil ko bhi aaram ho hi jaye ga....
Comments
Post a Comment