ghum ho gaye beshumar aaqa

ghum ho gaye beshumar aaqa
banda tere nisar aaqa

bigra jata hai khel mera
aaqa aaqa saanwaar aaqa

manjhdar pe aake nao tooti
de hath ke hun main paar aaqa

tooti jati hai peeth meri
lillah ye bojh utar aaqa

halka hai agar humara palla
bhari hai tera waqar aaqa

majboor hain hum to fiker kya hai
tum ko to hai  ikhtiar aaqa

mein door hoon tum to ho mere paas
sun lo meri pukaar aaqa

mujhsa koi ghumzada na hoga
tum sa nahin ghum gusaar aaqa

tum wo k karam ko naaz tum par
mein wo k badi ko aar aaqa

jis ki marzi khuda na taale
mera hai wo naamdar aaqa

hai mulk e khuda p jis ka qabza
mera hai wo kaamgaar aaqa

un ke adna gada pe mit jayen
ese ese hazar aaqa

itni rahmat raza pe karlo
laa yaqrubuhul bawaar aaqa...

Comments

Popular posts from this blog

lutf un ka aam ho hi jaye ga

Lam Ya’Ati Naziro Kafi Nazrin

na asman ko yun sarkusheeda hona tha