muhammad mazhar e kamil hai haq ki shan e izzat ka

muhammad mazhar e kamil hai haq ki shan e izzat ka
nazar aata hai is kasrat main kuch andaz wahdat ka

yahi hai asl e aalam maadda eejad e khalqat ka
yahan wahdat main barpa hai ajab hungama kasrat ka

gada bhi muntazir hai khuld main nekon ki dawat ka
khuda din khair se laye sakhi ke ghar zyafat ka

na rakhi gul ke josh e husn ne gulshan main ja baqi 
chatakta phir kahan guncha koi baag e risalat ka

barhaya ye silsila rahmat ka daur e zulf e waala main
tasalsul kale koson rah gaya isyan ki zulmat ka

raza e khasta ! josh e bahr e isyan se na ghabrana
kabhi to hath aa jaye ga daman un ki rahmat ka...

Comments

Popular posts from this blog

lutf un ka aam ho hi jaye ga

na asman ko yun sarkusheeda hona tha

Lam Ya’Ati Naziro Kafi Nazrin