tu hai wo ghouse k har ghouse hai shaida tera

tu hai wo ghouse k har ghouse hai shaida tera
 tu hai wo gais k har gais hai p[yasa tera

suraj aglon ke chamakte the chamak kar doobe
ufuq e noor pe hai mahr humesha tera

murg sab bolte hain bol[ k chup[ rehte hain
haan aseel ek nawa sanj rahe ga tera

jo wali qabl the ya baad hue ya hon ge
sab adab rakhte hain dil se mere aaqa tera

aur parwane hain jo haote hain kaabe p[e nisar
shama ik tu hai k p[arwana hai kaaba tera

raj kis shahr main karte nahin tere khudam
baj kis nahr se leta nahin darya tera

aur mehboob hain , haan par sabhi yaksaan to nahin
yun to mehboob hai har chahne wala tera

gardanein jhuk gaen sar bichh gaye dil toot gaye
kashf e ssaq aj kahan ye to qadam tha tera

dil e a`ada ko raza tez namak ki  dhun hai
ik  zarra aur chhirakta rahe khama tera....

Comments

Popular posts from this blog

lutf un ka aam ho hi jaye ga

na asman ko yun sarkusheeda hona tha

Lam Ya’Ati Naziro Kafi Nazrin