Wah kya jood o karam hai shah e bat`ha tera

Wah kya jood o karam hai shah e bat`ha tera
nahin sunta hi nahin mangne wala tera

dhare chalte hain ata ka wo hai qatra tera
tare khilte hain sakha ke wo hai zarra tera

faiz hai ya shahe tasneem nirala tera
aap pyason ke tajasus main hai darya tera

agnia palte hain dar se wo hai baara tera
asfia chalte hain sar se wo hai rasta tera

farsh wale teri shokat ka uloo kya janein
khusrawa arsh pe udta hai pharera tera

asman khuwan zameen khuwan zamana mehman
sahib e khana laqab kiska  hai tera tera

mein to malik hi kahoon ga ke ho malik ke habib
yani mehboob o muhib main nahin mera tera

tere qadmon main jo hian gair ka mun kya dekhein
kon nazron pe charhe dekh ke talwa tera

chor hakim se chhupa karte hain ya is ke khilaf
tere daman main chhupe chor anokha tera

ek mein kya mere isyan ki haqiqat kitni
mujhse so lakh ko kafihai ishara tera

muft paala tha kabhi kaam ki aadat na padi
ab amal poochte hain haye nikamma tera

tere tukron pe pale gairkithokarpenadaal
jirhkyan khayen kahan chhor ke sadqa tera

meri taqdeer buri ho to bhali kar de ke hai
mahv o isbat ke daftar pe karora tera

tu jo chahe to abhi mel mere dil ke dhule
ke khuda dil nhin karta kabhi mela tera

tu ne islam dya tune jamat main lya
tu kareem ab koi phirta hai atiya tera

tere sadqe mujhe ik boond buhat hai teri
jis din achon ko mile jaam chhilakta tera

teri sarkar main laata hai raza us ko shafi
jo mera ghouse hai aur laadla beta tera......

Comments

Popular posts from this blog

lutf un ka aam ho hi jaye ga

na asman ko yun sarkusheeda hona tha

Lam Ya’Ati Naziro Kafi Nazrin