hum khak hain aur khak hi mava hai humara

hum khak hain aur khak hi mava hai humara
khaki to wo aadam jad e aala hai humara

allah humein khak kare apni talab main
ye khal to sarkar te tamga hai humara

jis khak pe  rakhte the qadam sayed e aalam
us khak pe qurban dil e shaida hai humara

khum ho gayi pushte falak is taan e zameen se
sun hum pe madina hai wo rutba hai humara

is ne laqab e khak shehnshah se paya
jo hayder e karrar k maula hai humara

hai khak se tameer mazar e shahe konain
mamoor isi khak se qibla hai humara

hum khak urayen ge jo wo khak na payi
aabad raza jis pe madina hai humara ...

Comments

Popular posts from this blog

lutf un ka aam ho hi jaye ga

Lam Ya’Ati Naziro Kafi Nazrin

na asman ko yun sarkusheeda hona tha