lutf un ka aam ho hi jaye ga

lutf un ka aam ho hi jaye ga
shad har nakam ho hi jaye ga

jan de do wada e deedar par
naqd apna daam ho hi jaye ga

shad hai firdous yaani ek din
qismat khuddam ho hi jaye ga

saailo ! daaman  sakhi ka tham lo
kuch na kuch inaam ho hi jaye ga

mufliso ! un ki gali main ja paro
baag e khuld ikram ho hi jaye ga

gar yun hi rahmat ki taweelein rahin
madh har ilzaam ho hi jaye ga

ghum to un ko bhool kar lipta hai yun
jese apna kaam ho hi jaye ga

ab to layi hai shafa`at  afw par
badhte badhte aam ho hi jaye ga

ae raza har kaam ka ik waqt hai
dil ko bhi aaram ho hi jaye ga....

Comments

Popular posts from this blog

Lam Ya’Ati Naziro Kafi Nazrin

na asman ko yun sarkusheeda hona tha