na asman ko yun sarkusheeda hona tha

na asman ko yun sarkusheeda hona tha
huzoor e khak e madina khamida hona tha

agar gulon ko khazan naarseeda hona tha
kinar e khar e madina dameeda hona tha

huzoor un ke khilaf e adab thi betabi
meri umeed ! tujhe aarmeeda hona tha

nazara khak  e madina ka aur teri aankh
na isqadar bhi qamar shokh deeda hona tha

raza jo dil ko bana na tha jalwa gah e habib
to pyare qaid khudi se raheeda hona tha ...

Comments

Popular posts from this blog

lutf un ka aam ho hi jaye ga

Lam Ya’Ati Naziro Kafi Nazrin