Wah kya martaba ae ghouse hai baala tera

wah kya martaba ae ghouse hai baala tera
oonche oonchon ke saron se qadam aala tera

sar bhala koi kya jane ke hai kesa tera
aulia malte hain aankhein wo hai talwa tera

kya dabe jis pe himayat ka ho panja tera
sher ko khatre main laata nahin kutta tera

tu hussaini hasani kyun na muhyudin ho
ae khizar majma e bahrain hai chashma tera

qasmain de de ke khilta hai pilata hai tujhe
pyara allah tera chahne wala tera

mustapha ke tan e be saya ka saya dekha
jis ne dekha meri jan jalwa e zaiba tera

ibne zahra ko mubarak ho uroose qudrat
qadri payen tasaduq mere dulha tera]

kyun na qasim ho k tu ibne abil qasim hai
kyun na qadir ho k mukhtar hai baba tera

jan to jate hi jaye gi qayamat ye hai
k yahan marne pe thehra hai nazara tera

tujh se dar dar se sag aur sag se hai mujhko nisbat
meri gardan main bhi hai door ka dora tera

is nishani k jo sag hain nahin mare jate
hashr tak mere gale main rahe patta tera

meri qismat ki qasam khayen sagan e baghdad
hind main bhi hun to deta rahun pehra tera

mujhko ruswa bhi agar koi kahe g to yun hi
ke wahi na , wo raza banda e ruswa tera

hain raza yun na balk to nahin jayid to na ho
sayid jayid har dahr hai maula tera

fakhre aaqa main raza aur bhi ik nazam rafee
chl likha layen sana khuwanon main chehra tera....

Comments

Popular posts from this blog

lutf un ka aam ho hi jaye ga

na asman ko yun sarkusheeda hona tha

Lam Ya’Ati Naziro Kafi Nazrin