Posts

na asman ko yun sarkusheeda hona tha

na asman ko yun sarkusheeda hona tha huzoor e khak e madina khamida hona tha agar gulon ko khazan naarseeda hona tha kinar e khar e madina dameeda hona tha huzoor un ke khilaf e adab thi betabi meri umeed ! tujhe aarmeeda hona tha nazara khak  e madina ka aur teri aankh na isqadar bhi qamar shokh deeda hona tha raza jo dil ko bana na tha jalwa gah e habib to pyare qaid khudi se raheeda hona tha ...

Lam Ya’Ati Naziro Kafi Nazrin

Lam Ya’Ati Naziro Kafi Nazrin, Misle To Na Shud Paida Jaana. Jag Raaj Ko Taaj Torey Sar So, Hai Tujh Ko Shahey Do Sara Jaana. Ana Fi Atshiv Wa Sakha Ka Atam, Aey Gesu-Aey Paak, Aey Abr e Karam, Barsan Haare Rimjhim, Rimjhim, Do Boond Idhar Bhi Gira Jaana. Al Bahro Alaa wal Mavjo Tagha, Man Bekaso Tufaan Hosh Ruba, Manjdhaar Mein Houn Ya Rasulallah, Manjdhaar Mein Houn Bigri Hai Hawaa, Mori Nayya Paar Laga Jaana. Ar Rooho Fida Ka Fazid Harka, Yak Shola Digar Barzan Ishqa, Mora Tan, Man, Dhan, Sab Phoonk Diya, Yeh Jaan Bhi Pyaare Jala Jaana. Al Qalbo Shyjivm Wal Hamo Shujut, Dil Dar Chuna Jaan Zer Chuno, Pat Apni Bhi Pat Mein Kaaisay Kahoun, Mera Koun Hai Teray Siva Jaana. Bas Khaama-Aey Khaam Nawaaey Raza, Na Yeh Taraz Meri Na Yeh Rang Mera, Irshaade Ahibba Na’Atik Tha, Nachaar Is Raah Para Jaana.

lutf un ka aam ho hi jaye ga

lutf un ka aam ho hi jaye ga shad har nakam ho hi jaye ga jan de do wada e deedar par naqd apna daam ho hi jaye ga shad hai firdous yaani ek din qismat khuddam ho hi jaye ga saailo ! daaman  sakhi ka tham lo kuch na kuch inaam ho hi jaye ga mufliso ! un ki gali main ja paro baag e khuld ikram ho hi jaye ga gar yun hi rahmat ki taweelein rahin madh har ilzaam ho hi jaye ga ghum to un ko bhool kar lipta hai yun jese apna kaam ho hi jaye ga ab to layi hai shafa`at  afw par badhte badhte aam ho hi jaye ga ae raza har kaam ka ik waqt hai dil ko bhi aaram ho hi jaye ga....

muhammad mazhar e kamil hai haq ki shan e izzat ka

muhammad mazhar e kamil hai haq ki shan e izzat ka nazar aata hai is kasrat main kuch andaz wahdat ka yahi hai asl e aalam maadda eejad e khalqat ka yahan wahdat main barpa hai ajab hungama kasrat ka gada bhi muntazir hai khuld main nekon ki dawat ka khuda din khair se laye sakhi ke ghar zyafat ka na rakhi gul ke josh e husn ne gulshan main ja baqi  chatakta phir kahan guncha koi baag e risalat ka barhaya ye silsila rahmat ka daur e zulf e waala main tasalsul kale koson rah gaya isyan ki zulmat ka raza e khasta ! josh e bahr e isyan se na ghabrana kabhi to hath aa jaye ga daman un ki rahmat ka...

ghum ho gaye beshumar aaqa

ghum ho gaye beshumar aaqa banda tere nisar aaqa bigra jata hai khel mera aaqa aaqa saanwaar aaqa manjhdar pe aake nao tooti de hath ke hun main paar aaqa tooti jati hai peeth meri lillah ye bojh utar aaqa halka hai agar humara palla bhari hai tera waqar aaqa majboor hain hum to fiker kya hai tum ko to hai  ikhtiar aaqa mein door hoon tum to ho mere paas sun lo meri pukaar aaqa mujhsa koi ghumzada na hoga tum sa nahin ghum gusaar aaqa tum wo k karam ko naaz tum par mein wo k badi ko aar aaqa jis ki marzi khuda na taale mera hai wo naamdar aaqa hai mulk e khuda p jis ka qabza mera hai wo kaamgaar aaqa un ke adna gada pe mit jayen ese ese hazar aaqa itni rahmat raza pe karlo laa yaqrubuhul bawaar aaqa...

hum khak hain aur khak hi mava hai humara

hum khak hain aur khak hi mava hai humara khaki to wo aadam jad e aala hai humara allah humein khak kare apni talab main ye khal to sarkar te tamga hai humara jis khak pe  rakhte the qadam sayed e aalam us khak pe qurban dil e shaida hai humara khum ho gayi pushte falak is taan e zameen se sun hum pe madina hai wo rutba hai humara is ne laqab e khak shehnshah se paya jo hayder e karrar k maula hai humara hai khak se tameer mazar e shahe konain mamoor isi khak se qibla hai humara hum khak urayen ge jo wo khak na payi aabad raza jis pe madina hai humara ...